FmD4FRX3FmXvDZXvGZT3FRFgNBP1w326w3z1NBMhNV5=

Video

items

How To Make Free Professional Website Logo - Blogger, WordPress, Wapka | Part - 5

Dosto hamare Blogging Tutorial Series ka ye Part - 5 hai, dosto agar aapne abhi tak hamare blogging series ke pahele part - 4 How To Make Free Websites With Blogger abhi tak nhi dekhe to to us parts ko aap read kare, un parts me aapko website design ke bare me puri jankari di gayi hai bilkul aapni language hindi me. To aaj ke is blogger tutorial part - 5 me hum aapko sikhane wale hai ki website ke liye free me professional logo kaise banaye without photoshop ya kisi software ke bina bilkul bhi kisi android app ki aapko jarurat nahi padegi. To is posts ko jarur end tak follow kare sari information ke liye.

Blogger Tutorial Related Posts 


Create Free Website Logos
Make Free Professional Website Logo
Dosto aap log free me unlimited website logos create kar sakate ho, aapko jo logo making ki website batane ja raha hu usame aapko bahut sari website logo design karane ki templates milati hai aur aap apni website se related logo bana sakate ho, us website me aapko website logo make karane ke liye bahut sari categories milati hai. Aap aapni websites se related category ko choose karake logo ko edit kar sakate ho bilkul free me, aap website ke har ek parts ko acche se edit kar sakate ho. To chaliye shuru karate hai professional logo make karane ki procedure ko.  




How To Make Free Professional Websites Logo ??

Aapko niche diye gaye sabhi steps ko step-by-step end tak follow karna hai, tab jakar aap accha logo create karna sikhenge.

Step - 1. Aapko visit hona hai www.designevo.com par. Website par visit hone ke bad aapko click karna hai Make a Free Logo par.
make a free logo
Make Free Professional Website Logo
Step - 2. Make a Free Logo pe click karne ke bad aapke samne ek new page open hoga. Us page pe aapko apne website ke related categories ko select karna hai aur category select karne ke bad uske related logo design aapke samne aayenge to aapko jo accha lagta hai usko select karna hai. 

Logo design select karne ke bad uspe click kare aur aapke samne Enter Company Name & Slogan ka option aayenga to vaha par aapke website ka name enter karna hai aur get started pe click karna hai. 
create professional website logo
Create Free Professional Websites Logo

Step - 3. Get started pe click karne ke bad aapke samne logo edit dashboard open hoga. Aap vaha pe logo ko fully customize aur edit kar sakte ho. Aapka logo ready hone ke bad aap log download par click kar sakate ho. 
create free professional logo
Design Free Your Logo


Step - 4. Aap jab logo ke download button pe click karenge tab aapke samne 3 plans aayenge Free, Basic & Plus to aapko by default free pe click karna hai.


Uske bad aapke samne credit ka menu aayenga to aapko just simple Download and Agree pe click karake logo ko download karna hai. 
create & download free logo
Select Free Plan & Download Logo

To friends agar aap is sari steps ko follow karte ho to aap free me professional website logo banana sikh jayenge. Download kiyi huye file aapko .zip format me milengi to aap us file ko extract karake use me le sakte ho. Agar dosto aapko kuch error ya problem aati hai to aap jarur comment kare aur aap hame social media par bhi follow kar sakte ho...



1/Post a Comment/Comments

  1. This is surely a very good blog, thanks a lot for sharing such nice information here.
    find more information

    ReplyDelete
73745675015091643