FmD4FRX3FmXvDZXvGZT3FRFgNBP1w326w3z1NBMhNV5=

Video

items

How To Generate Automatic Website Favicon | Part - 6

Namskar dosto agar aapki website hai aur aap apni website ke liye Favicon create karna chahate ho to aapko mein is post ke andar ek tricks batane wala hu jiski help se aap website favicon automatic generate kar sakte ho. Aap agar accha favicon lagate ho to aapki website ka look bahut accha dikahyi dega aur aapka website SEO Friendly bhi ho sakta hai. Aap jo favicon banana chahate ho uska logo pahele aapko create karna padega aur bad me us logo ko aapko Favicon me convert karana hai aur aapki website pe lagana hai, please kisi ke bhi favicon ko copy mat karo aapka khudka alag sa self made FavIcon ho na chahiye tabhi rank ho sakta hai. 


Generate Free FavIcon
Generate Free Website Favicon
Aapko aache acche images ko add karke aur unique content ko use karke Favicon ka Logo banana hai, aur hum aapko is post me batayenge ki kis tarah us logo ko Automatic Website Favicon me Generate karna hai to follow kare sari procedure ko end tak step-wise. 

Related Post Blogger Tutorial

                    How To Create Free Account On The Blogger
                    Top 5 SEO Optimized Blogger Templates
                    Add Free FB Page Like Box
                 

Generate Automatic Website Favicon Step By Step 


Step - 1. 
1. Browser Ko Open Kare Aur Google Search Engine Open kare.


2. Google Mein Search Kare FavIcon Generator Dynamic Drive.
Generate Automatic Website FavIcon
Generate Automatic Favicon

Step -2.
1. Website Open Hone Ke Bad Aapke Samne Ek Dashboard Open Hoga.
2. Choose File Pe Click Karke Logo/Image Ko Add Kare.
     Image Ki Size Maximum 150.00 KB Honi Chahiye.
     Image Ki File .jpg, .png, .gif Honi Chahiye.
     Image Transparent Honi Chahiye.
     Optional Me Jo 2 Option Hai Usko Aap Chahe To Use Kar Sakate Ho.


3. Sare Rules Ko Follow Karne Ke Bad Create Icon Pe Click Kare   
generate favicon
Generate Website Favicon
4. Niche Aapko FavIcon (16*16) Preview Option Dikhayi Dega.
     Vaha Aapka Favicon Kaisa Dikhta Hai Uska Preview Hoga.
5. Favicon Preview Ke Bad Download FavIcon Pe Click Karke Download kare.


To dosto yha par sari procedure complete ho jati hai, agar aapko favicon ke related aur information chahiye ya kuch problem hai to aap jarur comment kare aur latest information ke liye aap hame follow bhi kar sakte ho.




3/Post a Comment/Comments

73745675015091643